सरफ़रोशी की तमन्ना
(Complete Poem in Roman Script)
Friends! I was searching on Internet since long. Today my search has come to an end.
The historic poem penned by Ram Prasad Bismil in the early 1920 when he resettled at Shahjahanpur after lifting the warrant of arrest by the British Government. Since he was well versed in Urdu literature and used to right under the pen name of Bismil,hence he had written this poem (Ghazal) in Urdu baher (meter) called Bahre-Ramal.
Its meter in Urdu is "Faailaatun Faailaatun Faailaatun Faailun."
Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai,
Dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil mein hai.

Ek se karataa nahin kyon doosaraa kuchh baat-cheet,
Dekhtaa hun main jise woh chup teri mehfil mein hai.
Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charchaa gair kii mehfil mein hai.
Waqt aane de bataa denge tujhe aye aasamaan,
Ham abhii se kyaa bataayen kyaa hamaare dil mein hai.
Kheench kar laayee hai ham ko qatl hone ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jamaghat koonch-e-qaatil mein hai.
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baithaa udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apnaa idhar.
Khoon se khelenge holi gar vatan mushkil mein hai,
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai.
Haath jin mein ho junoon katate nahin talvaar se,
Sar jo uth jaate hain vo jhukate nahin lalakaar se.
Aur bhadakegaa jo sholaa-saa hamaare dil mein hai,
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai.
Ham to nikale hii the ghar se baandhakar sar pe kafan,
Jaan hatheli par liye lo badh chale hain ye qadam.
Zindagi to apnii mehamaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai.
Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar-baar,
Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai.
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab,
Hosh dushman ke udaa denge hamein roko na aaj.
Duur rah paaye jo hamse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi kii tamannaa ab hamaare dil mein hai.
Jism bhi kya jism hai jisamein na ho khoon-e-junoon,
Kya wo toofaan se lade jo kashti-e-saahil mein hai.
Sarfaroshi ki tamannaa ab hamaare dil mein hai
Dekhanaa hai zor kitnaa baaju-e-qaatil mein hai